Jio mart Kya Hai। Desh Ki Nayi Dukan। जिओ मार्ट से क्या फायदा होगा?

What is Jio mart in hind- Welcome to another Hindi Blog. Aaj mai apko bataunga ki Jio mart Kya hai aur isse judi sabhi jankari pane ke liye Bane rahe last tak.

Jiomart jo ki Reliance dwara shuru ki gayi ek Online Shopping Marketplace hai. Jahan par 50,000+ Products List karne ki yojana Mr. Mukesh Ambani ji Ke netritwa me banayi gayi hai. Yaha aap Rs.3000 Free me Kama sakte hain.

Reliance Industries ne Jio Sim and Jio Gigafibre par apaar safalta Prapt karne ke baad ab Retail Industry me kadam rakne ka man bana liya hai.

Facebook ne Reliance ke 9.99% Share buy kar liya hai. Joki 43,575 crores hai. Jiomart Or Facebook ek saath milkar kaam karenge.

Kyonki Jiomart se product lene ke liye apko WhatsApp se Order Book karna hoga.Yeh Jio Super market puri tarah se Whatsapp par Based hogi.

Isase pahle Facebook apna WhatsApp Pay Launch karne wala tha. But kisi Reason ke wajah se launch nahi kar paya.

Facebook ke Founder Mark Zuckerberg ne kaha ki WhatsApp ke saath milkar Reliance Mart ko chhote chhote Local Retailers and Customers tak pahuchana hai.

Jio mart Kya Hai (What is Jio mart in Hindi)

Jio mart ek E Commerce Plateform hai. Jo ki Reliance company ke dwara launch kiya gaya hai. Yaha par Grocery and More than 50 thousands products list hone ka Plan hai.

Yeh Jio Market Online to Offline kaam karega. Jab aap order place karenge to apke najdeeki Kirana store se apko delivery krayega.

Jio mart ke aane se iski samkaksh companiyon jaise Amazon, Flipkart, Dmart and Snapdeal ke liye Chunauti purn samay aane wala hai.

Jio mart Franchise ka Aim 3 crore Local retailers ko jodna hai. Jisase sbhi chhote chhote shahron, gaon me product deliver kraya ja sake.

India me near about 40 crores se above Jio user hain. Jiska fayda Jio mart and Jio user dono ko hoga.

Kyonki Facebook ke user and Whatsapp dono ke bahut users hain. Is Retail Reliance ko abhi Mumbai ke kuch City me hi Start kiya gaya hai.

Yeh kahna galat nahi hoga ki WhatsApp and Jio ek saath milakar ek naya Revolution lane wale hain.

Thane, Navi Mumbai, Kalyan yhi vah shahar hain jaha par jio mart kaam kar raha hai. Yaha ke logon ka Feedback dekh ke lag raha hai ki yeh company accha karya kregi.

Updated on 25/05/2020 Reliance Retail Grocery Business Ke Chief Executive ne kaha ki JioMart ki services 200 se adhik Cities shuru ki ja chuki hai. JioMarr more than 200 Cities me Delivery karne laga hai.

Apse ya hamse kisi se bhi chhupa nahi hai ki Jio apne apne Users ke liye kitne acche acche Offers leke ata rahta hai.Isi tarah se samay samay par Jiomart me bhi offers Milte hain

JioMart Tag Line – Desh ki Nayi Dukan

Jio mart Business Model

Iska Business Model kuch aisa hai ki yeh Sabhi Local Retailers ko apane saath jodega. jab aap WhatsApp Order Booking Service se Order Place karenge.

Tab apko apke najdeeki Retailers ke yaha se apka products deliver kar diya jayega. Apke pas ke kirana store ko Jiomart Kirana kra jayega.

Jio mart se judne ke 2 raste hain ek to hai as a Customer and dusra hai as a Distributor. Dono ka process alg alg hai.

Is plateform ka use karake aap acche khass paise bhi kama sakte hain. Or isi se nahi balki aap Facebook aur WhatsApp se bhi earning kar sakte hain.

Agar aap yaha se Order book karna chahte hain to apko iski Whatsapp booking Service ka use karna pdega.

Jiomart WhatsApp Order Booking Service

Jio mart order place

Jio mart kya hai janne ke baad baat ati hai yaha se Product ko order kaise kare. Niche step by step jankari di gayi hai.

1– Sabse pahle +91 88500 08000 ko jo ki jio mart ka order book karne ke liye WhatsApp number hai. Ise apne mobile me save kar lijiye

2- Ab apko apne WhatsApp se Jiomart number par Hi or Hello Message Send karna hai.

3- Auto Generated Reply Message System ke Medium se apse Pincode Puccha jayega.

4- Aap apna Pincode provide kare. Yadi apke City me Jiomart Service available hai to apko Ek Link Prapt hoga.

5– Jab apko Link mil jaye to Click karne par apko Apni details me Mobile Number, Email Address and Pincode Fill karke Order Booking page par pahuch jayenge.

Jio mart customer detar

Jio mart ke Fayde

Jio ne apni is Company JIOMART ke liye iska Dedicated App Launch krane ke plan me hai. Joki bahut jald dekhne ko mil jayega.

Jio mart me Online Payment and Cash On Delivery dono tarah ke Payment Mode available hain.

Isme No Question Return Policy ki facility di gayi hai. Jisase agar apko koi Products nahi pasand aay to aap bina kisi problem ke return kar sakte hain.

Jio mart hame Express Delivery ka option bhi provide karta hai jisse ki apka products within 48 hrs me deliver ho jayega.

Telegram App Kya Hai?

Baaki Companies Express Delivery ke liye paise charge karti hain. Jabki Jio mart Free home delivery karta hai. Dhyan rakhe Order 7 PM ke pahle hi krna hoga.

Jio mart ke liye Register Kaise Kare

Yadi aap jiomart par Pre Registration karte hain then you will get Rs.3000 free. Aiye Registration ka Process jante hain.

Jiomart Registration
1- Go to Official Site www.jiomart.com
2– Fill your Details which is required
3- Enter Verification Code and Now you completed your registration.
4- After Registration you will receive a confirmation message.

Jiomart Products Categories

  1. Health
  2. Branded Food
  3. Dairy and Eggs
  4. Beauty and Home Care
  5. Cleaning
  6. Food Grains
  7. Mom and Baby Products

Aisa nahi hai ki ye puri list hai. Abhi Product ki listing chal rahi jisko 50,000+ tak le jane ka target hai.

Jio mart Stock me aneko products shamil ho rahe hain. Jise aap official website par jaake chek kar sakte.

Aaj ka ye article Reliance Jio mart ko padhne se pata chal raha hai ki aane wale samay me Jio mart bhi Jio Sim ke jaise hi tarah tarah ke offers lata rahega.

Conclusion

Aaj apne seekha ki Jio mart Kya Hai aur isi se sambandhit jana ki kaise Jiomart WhatsApp Order Booking Service ka use karte hain.

Reliance mart sirf apne apko products hi deliver karne ka kaam nahi karega balki jaise jaise iska vistar hota jayega utani hi adhik matra me yaha Logo ko Jobs bhi mil sakti hain.

Kyonki kisi bhi Company ko Run karne mw liye Employees ki Need hoti hai. Is tarah se kah sakte hain ki Jio mart Jobs bhi provide karne ka bhi kaam karega

Agar apko Jio mart Kya Hai se related koi dikkat hai to dubara post ko padhen aur hamare liye koi sawal ya sujhao ho to Comment karke bataiye.

I Hope ki apko yeh Article Jio mart Kya Hai Pasand aya hoga. Agar pasand aya to Comment karke hamara Confidence jaroor badhaiye.

Aisi hi Jankari pane ke liye hamare Blog Technoyukti ko Subscribe and Share Jaroor kare. Jisse aage aane wali jankari ki notification ap tak pahuch sake.

Thankyou Very Much.

Leave a Comment

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.